kahan na-jaane chala gaya intizar kar ke
yahan bhi hota tha ek mausam-e-bahaar kar ke
jo hum pe aisa na kar-e-duniya ka jabr hota
to hum bhi rahte yahan junun iKHtiyar kar ke
na-jaane kis samt ja basi baad-e-yaad-parwar
hamare atraf KHushbuon ka hisar kar ke
kaTengi kis din madar-o-mehwar ki ye tanaben
ki thak gae hum hisab-e-lail-o-nahaar kar ke
teri haqiqat-pasand duniya mein aa base hain
hum apne KHwabon ki sari raunaq nisar kar ke
ye dil to sine mein kis qarine se gunjta tha
ajib hangama kar diya be-qarar kar ke
har ek manzar har ek KHalwat ganwa chuke hain
hum ek mahfil ki yaad par inhisar kar ke
tamam lamhe wazahaton mein guzar gae hain
hamari aankhon mein ek suKHan ko ghubar kar ke
ye ab khula hai ki us mein moti bhi DhunDte the
ki hum to bas aa gae hain dariya ko par kar ke
ba-qadr-e-KHwab-e-talab lahu hai na zindagi hai
ada karoge kahan se itna udhaar kar ke
Ghazal
Kahan na-jaane chala gaya intizar kar ke
Irfan Sattar