kahan koi KHazana chahta hun
zara sa muskurana chahta hun
mujhe maujen uchhaale ja rahi hain
main kab se Dub jaana chahta hun
jo purkhon ka sunahra kal yahi hai
to wapas lauT jaana chahta hun
koi dil ho kirae ka makan hai
main ab zati Thikana chahta hun
KHuda meri ana mahfuz rakkhe
main do roTi kamana chahta hun
jo tu aae bisat-e-zindagi par
to KHud ko haar jaana chahta hun

Ghazal
Kahan koi KHazana chahta hun
Nadeem Fazli