اردو हिंदी
Kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun | Shaahi Shayari
kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun

Ghazal

Kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun

Aftab Hussain

;

kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun
main apne aap ko hairan karne wala hun

ajib rang ki KHushbu hai mere kaise mein
main shahr bhar ko pareshan karne wala hun

khila rahega kisi yaad ke jazire par
ye bagh main jise viran karne wala hun

duaen mangta hun sab ki zindagi ke liye
aur apni maut ka saman karne wala hun

kuchh aur tarah ki mushkil mein Dalne ke liye
main apni zindagi aasan karne wala hun