kahan kho gai ruh ki raushni
bata meri raaton ko aawargi!
main jab lamhe lamhe ka ras pi chuka
to kuchh aur jagi meri tishnagi
agar ghar se niklen to phir tez dhup
magar ghar mein Dasti hui tirgi
ghamon par tabassum ki Dali naqab
to hone lagi aur be-pardagi
magar jagna apni qismat mein tha
bulati rahi nind ki jal-pari
jo tamir ki kunj-e-tanhai mein
wo diwar apne hi sar par giri
na jaane jale kaun si aag mein
hai kyun sar pe ye rakh bikhri hui
hui barish-e-sang is shahr mein
hamein bhi mila haqq-e-ham-saegi
guzari hai kitnon ne is tarah umr
bil-aqsat karte rahe KHud-kushi
hain kuchh log jin ko koi gham nahin
ajab turfa neamat hai ye be-hisi
koi waqt batla ki tujh se malun
meri dauDti bhagti zindagi
jinhen sath chalna ho chalte rahen
ghaDi waqt ki kis ki KHatir ruki
main jita to pai kisi se na dad
main haara to ghar par baDi bhiD thi
hua hum pe ab un ka saya haram
thi jin baadalon se kabhi dosti
mujhe ye andhere nigal jaenge
kahan hai tu ai mere suraj-mukhi!
nikale gae is ke mani hazar
ajab chiz thi ek meri KHamushi
Ghazal
Kahan kho gai ruh ki raushni
Khalilur Rahman Azmi