kahan kho gai ruh ki raushni
bata meri raaton ki aawargi
main jab lamhe lamhe ka ras pi chuka
to kuchh aur jagi meri tishnagi
agar ghar se niklun to phir tez dhup
magar ghar mein Dasti hui tirgi
ghamon pe tabassum ki Dali naqab
to hone lagi aur be-pardagi
magar jagna apni qismat mein tha
bulati rahi nind ki jal-pari
jo tamir ki kunj-e-tanhai mein
wo diwar apne hi sar par giri
hui barish-e-sang us shahr mein
hamein bhi mila haqq-e-ham-saegi
gizari hai kitnon ne is tarah umr
bil-aqsat karte rahe KHud-kushi
koi waqt batla ki tujh se milun
meri dauDti bhagti zindagi
jinhen sath chalna ho chalte rahen
ghaDi waqt ki kis ki KHatir ruki
mein jita to pai kisi se na dad
mein haara to ghar par baDi bhiD thi
hua hum pe ab jin ka saya haram
thi un baadalon se kabhi dosti
mujhe ye andhere nigal jaenge
kahan hai tu ai mere suraj-mukhi
nikale gae is ke mani hazar
ajab chiz thi ek meri KHamushi
Ghazal
Kahan kho gai ruh ki raushni
Khalilur Rahman Azmi