kahan kho gae mere gham-KHwar ab
ki tanha hun chalne ko tayar ab
kahan sar chhupaen pata hi nahin
ki girne lagi ghar ki diwar ab
tu munsif hai apna qalam rok le
bacha lega mera hi kirdar ab
ki aaThon pahar mujh ko fursat nahin
kahin kho gaya mera itwar ab
mere KHun mein rang-e-wafa dekh le
mujhe le ke chal tu sar-e-dar ab
main 'asghar' musafir kaDe kos ka
ki apne hue mere aghyar ab
Ghazal
Kahan kho gae mere gham-KHwar ab
Asghar Shamim