kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya
jahan-e-rizq mein tauqir-e-ahl-e-hajat kya
shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya
dimashq-e-maslahat o kufa-e-nifaq ke bich
fughan-e-qafila-e-be-nawa ki qimat kya
maal-e-izzat-e-sadat-e-ishq dekh ke hum
badal gae to badalne pe itni hairat kya
qimar-KHana-e-hasti mein ek bazi par
tamam umr laga di to phir shikayat kya
farogh-e-sanat-e-qad-awari ka mausam hai
subuk hue pe bhi nikla hai qadd-o-qamat kya
Ghazal
Kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya
Iftikhar Arif