kahan kahan hai KHuda jaane rabta dil ka
dimagh se nahin hoga muqabla dil ka
ilaj tere taghaful ne kar diya dil ka
bahut dinon se dimagh aasman pe tha dil ka
tum intizam karoge batao kya dil ka
yahan to KHud nahin malum muddaa dil ka
ajib log hain ye dil ko kya samajhte hain
tabib jism mein DhunDa kiye pata dil ka
bas ek tarz-e-bayan ki mili hai dad hamein
suna ke dekh liya sab ko majra dil ka
'shujaa' dil ki kahani bas ab tamam karo
bayan karne lage hain hama-shuma dil ka

Ghazal
Kahan kahan hai KHuda jaane rabta dil ka
Shuja Khaavar