اردو हिंदी
Kahan hum rahe phir kahan dil rahega | Shaahi Shayari
kahan hum rahe phir kahan dil rahega

Ghazal

Kahan hum rahe phir kahan dil rahega

Meer Mohammadi Bedar

;

kahan hum rahe phir kahan dil rahega
isi tarah gar tu muqabil rahega

khuli jab girah band-e-hasti ki tujh se
to uqda koi phir na mushkil rahega

dil-e-KHalq mein tuKHm ehsan ke bo le
yahi kisht-e-duniya ka hasil rahega

hijab-e-KHudi uTh gaya jab ki dil se
to parda koi phir na hael rahega

na pahunchega maqsad ko kam-himmati se
jo salik talabgar-e-manzil rahega

na hoga tu aagah irfan-e-haq se
gar apni haqiqat se ghafil rahega

KHafa mat ho 'bedar' andesha kya hai
mila gar na wo aaj kal mil rahega