kahan hai wo gul-e-KHandan hamein nahin malum
na puchh bulbul-e-nalan hamein nahin malum
firaq hi mein basar ho gai hamari umr
hai kaun wasl se shadan hamein nahin malum
hamein to ek sada-e-jaras hi aati hai
hua hai kaun huda-KHwan hamein nahin malum
talash-e-KHizr tariqat hai is liye salik
kahan hai chashma-e-haiwan hamein nahin malum
talash-e-yar mein 'saqi' hue hain sar-gardan
kahan hai manzil-e-jaanan hamein nahin malum
Ghazal
Kahan hai wo gul-e-KHandan hamein nahin malum
Pandit Jawahar Nath Saqi

