kahan din raat mein rakkha hua hun 
ajab haalat mein rakkha hua hun 
talluq hi nahin hai jin se mera 
main un KHadshat mein rakkha hua hun 
kabhi aata nahin tha hath apne 
ab apne hath mein rakkha hua hun 
zara bhi rah nahin sakta hun jin mein 
main un jazbaat mein rakkha hua hun 
jalae kis tarah ye dhup mujh ko 
kahin barsat mein rakkha hua hun 
KHamoshi kah rahi hai 'shaz' us ki 
main us ki baat mein rakkha hua hun
        Ghazal
Kahan din raat mein rakkha hua hun
Zakariya Shaz

