kaha ye aaj hamein fahm ne suno sahib
ye bagh-e-dahr ghanimat hai dekh lo sahib
jo rang-o-bu ke uThane mein haz uTha lije
mabaada phir kaf-e-afsos ko malo sahib
ye wo chaman hai nahin ek se nahin jis mein
tabaddul is ka har ek gul se soch lo sahib
ki tha jo subh-e-shagufta na tha wo sham ke waqt
jo sham tha so na dekha wo subh ko sahib
pas is misal se zahir hai ye suKHan yani
isi tariq se aalam mein tum bhi ho sahib
jo sarnawisht hai hoga isi tarah se 'nazir'
qaza qaza nahin hone ki kuchh karo sahib
Ghazal
Kaha ye aaj hamein fahm ne suno sahib
Nazeer Akbarabadi