kaha taKHliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi
kaha maKHluq bole bais-e-azar to hogi
kaha: hum kya karen is ahd-e-na-pursan mein kuchh kahiye
wo bole koi aaKHir surat-e-izhaar to hogi
kaha: hum apni marzi se safar bhi kar nahin sakte
wo bole har qadam par ek nai diwar to hogi
kaha: aankhen nahin is gham mein binai bhi jati hai
wo bole hijr ki shab hai zara dushwar to hogi
kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jae
andhere mein kisi ko raushni darkar to hogi
kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak aaKHir
wo bole ishq mein miTTi tumhaari KHwar to hogi
Ghazal
Kaha taKHliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi
Aitbar Sajid