kaha kis ne musalsal kaam karne ke liye hai
ye duniya asl mein aaram karne ke liye hai
mohabbat aur phir aisi mohabbat jo hai tujh se
chhupaen kyun ye KHushbu aam karne ke liye hai
karega kaun tujh ko teri be-mehri ka qail
yahan jo bhi hai tujh ko ram karne ke liye hai
ye kar-e-ishq mein uljhi hui be-nam duniya
haqiqat mein numud o nam karne ke liye hai
bahut chhoTa sa dil aur is mein ek chhoTi si KHwahish
so ye KHwahish bhi ab nilam karne ke liye hai
ghazal kahni phir us mein apne dil ki baat kahni
yahi kafi hamein badnam karne ke liye hai
bahut din rah chuke nam-awaron ke bich 'ashfaq'
ab apna nam bas gumnam karne ke liye hai
Ghazal
Kaha kis ne musalsal kaam karne ke liye hai
Ashfaq Husain