اردو हिंदी
Kaha jo maine ki yusuf ko ye hijab na tha | Shaahi Shayari
kaha jo maine ki yusuf ko ye hijab na tha

Ghazal

Kaha jo maine ki yusuf ko ye hijab na tha

Ameer Minai

;

kaha jo main ne ki yusuf ko ye hijab na tha
to hans ke bole wo munh qabil-e-naqab na tha

shab-e-visal bhi wo shoKH be-hijab na tha
naqab ulaT ke bhi dekha to be-naqab na tha

lipaT ke chum liya munh miTa diya un ka
nahin ka un ke siwa is ke kuchh jawab na tha

mere janaze pe ab aate sharm aati hai
halal karne ko baiThe the jab hijab na tha

nasib jag uThe so gae jo panw mere
tumhaare kuche se behtar maqam-e-KHwab na tha

ghazab kiya ki ise tu ne mohtasib toDa
are ye dil tha mera shisha-e-sharab na tha

zamana wasl mein leta hai karwaTen kya kya
firaq-e-yar ke din ek inqalab na tha

tumhin ne qatl kiya hai mujhe jo tante ho
akele the malak-ul-maut ham-rikab na tha

dua-e-tauba bhi hum ne paDhi to mai pi kar
maza hi hum ko kisi shai ka be-sharab na tha

main ru-e-yar ka mushtaq ho ke aaya tha
tere jamal ka shaida to ai naqab na tha

bayan ki jo shab-e-gham ki bekasi to kaha
jigar mein dard na tha dil mein iztirab na tha

wo baiThe baiThe jo de baiThe qatl-e-am ka hukm
hansi thi un ki kisi par koi itab na tha

jo lash bheji thi qasid ki bhejte KHat bhi
rasid wo to mere KHat ki thi jawab na tha

surur-e-qatl se thi hath panw ko jumbish
wo mujh pe wajd ka aalam tha iztirab na tha

sabaat bahr-e-jahan mein nahin kisi ko 'amir'
idhar numud hua aur udhar hubab na tha