kaDi hai dhup kare kis tarah safar koi
nahin hai rah mein ab dur tak shajar koi
main apne shahr mein phirta hun ajnabi ki tarah
ajab nigah se takta hai mujh ko har koi
tamam-umr main KHud apne aap mein gum tha
talash karta raha mujh ko umr-bhar koi
main ek rahguzar ki talash mein hun magar
talash karti hai mujh ko bhi rahguzar koi
main barguzida buzurgon ki ek nishani hun
mujhe bhi dekh le ji-bhar ke ek nazar koi
hamari basti mein kahne ko log baste hain
makan chaaron taraf hain nahin hai ghar koi

Ghazal
KaDi hai dhup kare kis tarah safar koi
Khawaja Javed Akhtar