kachche rang utar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
sare KHwab bikhar jaen to sab kuchh yun hi lagta hai
ret ka Dher nazar aate hain shahr ke sare puKHta ghar
chiKHon se dil Dar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
talwon mein sine ki dhaDkan honTon par muddat ki pyas
jab hum jaan-nagar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
bhige bhige chand sitare shabnam rut nila aakash
us ke baal sanwar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
kursi mez kitaben? bistar anjaane se takte hain
der se apne ghar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
TuTi kashti dur kinara zehn mein kuchh guzre qisse
hum jab bich bhanwar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
Ghazal
Kachche rang utar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
Marghoob Ali