kabhi zamin pe kabhi aasman pe chhae ja
ujaDne ke liye bastiyan basae ja
KHizar ka sath diye ja qadam baDhae ja
fareb khae hue ka fareb khae ja
teri nazar mein sitare hain ai mere pyare
uDae ja tah-e-aflak KHak uDae ja
nahin itab-e-zamana KHitab ke qabil
tera jawab yahi hai ki muskurae ja
anaDiyon se tujhe khelna paDa ai dost
sujha sujha ke nai chaal mat khae ja
sharab KHum se diye ja nasha tabassum se
kabhi nazar se kabhi jam se pilae ja
Ghazal
Kabhi zamin pe kabhi aasman pe chhae ja
Hafeez Jalandhari