kabhi yun bhi karo shahr-e-guman tak le chalo mujh ko
jahan tak raushni hai tum wahan tak le chalo mujh ko
bhaTakta ja raha hun rah-rau milta nahin koi
ghubar-e-rah mere karwan tak le chalo mujh ko
gham-e-awargi se main shikasta hota jata hun
parindo tum hi apne aashiyan tak le chalo mujh ko
KHamoshi jhel li main ne rihai ki ghaDi aai
suKHan ke waste lafz-o-bayan tak le chalo mujh ko
kisi tabir ki manzil se ya to aashna kar do
nahin to phir usi KHwab-e-giran tak le chalo mujh ko
'taraaz' ab to tahaffuz ki koi surat nahin milti
mere rahbar kisi ja-e-aman tak le chalo mujh ko

Ghazal
Kabhi yun bhi karo shahr-e-guman tak le chalo mujhko
Rashid Taraz