kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue
phiri hai justuju teri kahan kahan liye hue
zamin-e-dil ki KHak hai sad-asman liye hue
tanazzulat-e-ishq mein taraqqiyan liye hue
dil o jigar liye hue mata-e-jaan liye hue
kisi ka nawak-e-nazar talashiyan liye hue
usi gali se aai hai shamim-e-zulf lai hai
nasim-e-subh aai hai tasalliyan liye hue
mere gham-e-nihan mein hai nawed-e-ishrat-afrin
bahaar hi bahaar hai meri KHizan liye hue
hamari aah ke sharar hamin ko phunkne lage
hawa ke jhonke aae sath bijliyan liye hue
teri gali mein mah-ru paDe hue hain chaar-su
tamam zarre KHak ke tajalliyan liye hue
na qurb-e-gul ki tab thi na hijr-e-gul mein chain tha
chaman chaman phire hum apna aashiyan liye hue
nigah-e-ahl-e-raaz mein haqiqat o majaz mein
hamari be-nishaniyan tera nishan liye hue
uThe hain hashr mein fida-e-ku-e-yar is tarah
jabin mein sajde dil mein yaad-e-astan liye hue
na dil milega 'bedam' aur na dil ki hasraten kahin
ki gum hua hai yusuf apna karwan liye hue
Ghazal
Kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue
Bedam Shah Warsi