kabhi wo ranj ke sanche mein Dhaal deta hai 
kabhi KHushi wo mujhe be-misal deta hai 
jawab sochti rahti hun main kai din tak 
wo ek sawal hawa mein uchhaal deta hai 
hamare pyar sa duniya mein pyar sab ka ho 
hamare pyar ki ye jag misal deta hai 
kisi ko rang banata hai wo sudama sa 
kisi ko daulat-o-jah-o-jalal deta hai 
jo mujh se sher ke sanche mein Dhal nahin pata 
KHuda kabhi mujhe aisa KHayal deta hai 
usi ke hath mein hai karobar duniya ka 
kabhi kamal kabhi wo zawal deta hai 
wo shaeron ko ata karta hai KHayal nae 
musawwiron ko wo kasb-e-kamal deta hai 
hai us ka KHas karam mere dil pe ai 'shobha' 
wo mere dil ko kasak la-zawal deta hai
 
        Ghazal
Kabhi wo ranj ke sanche mein Dhaal deta hai
Shobha Kukkal

