kabhi un ka nam lena kabhi un ki baat karna 
mera zauq un ki chahat mera shauq un pe marna 
wo kisi ki jhil aankhen wo meri junun-mizaji 
kabhi Dubna ubhar kar kabhi Dub kar ubharna 
tere manchalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai 
na kisi ki baat sunna, na kisi se baat karna 
shab-e-gham na puchh kaise tere mubtala pe guzri 
kabhi aah bhar ke girna kabhi gir ke aah bharna 
wo teri gali ke tewar, wo nazar nazar pe pahre 
wo mera kisi bahane tujhe dekhte guzarna 
kahan mere dil ki hasrat, kahan meri na-rasai 
kahan tere gesuon ka, tere dosh par bikharna 
chale lakh chaal duniya ho zamana lakh dushman 
jo teri panah mein ho use kya kisi se Darna 
wo karenge na-KHudai to lagegi par kashti 
hai 'nasir' warna mushkil, tera par yun utarna
        Ghazal
Kabhi un ka nam lena kabhi unki baat karna
Peer Nasiruddin Shah Naseer

