kabhi tha naz zamane ko apne hind pe bhi
par ab uruj wo ilm-o-kamal-o-fan mein nahin
ragon mein KHun hai wahi dil wahi jigar hai wahi
wahi zaban hai magar wo asar suKHan mein nahin
wahi hai bazm wahi shama hai wahi fanus
fida-e-bazm wo parwane anjuman mein nahin
wahi hawa wahi koyal wahi papiha hai
wahi chaman hai pa wo baghban chaman mein nahin
ghurur-e-jehl ne hindostan ko luT liya
ba-juz nifaq ke ab KHak bhi watan mein nahin
Ghazal
Kabhi tha naz zamane ko apne hind pe bhi
Chakbast Brij Narayan