kabhi talash na zae na raegan hogi
agar hui bhi to az-rah-e-imtihan hogi
agar mumaniyat-e-sair-e-gulistan hogi
to phir bahaar hamein ru-kash-e-KHizan hogi
usul ye to nahin hai ki na-murad rahen
faza kabhi na kabhi hum pe mehrban hogi
jahan-e-dard mein insaniyat ke nate se
koi bayan kare meri dastan hogi
mai-e-nashat-o-tarab jis ka hum se wada tha
jabhi hui na faraham to ab kahan hogi
bayan-e-gham to bahut sahl hai pa lazzat-e-gham
siwa-e-ijz-e-bayan kis tarah bayan hogi
agar ghalat hai jo kuchh us ne mujh se aa ke kaha
to ye jasarat-e-tahrif-e-raazdan hogi
pata chala ki basarat-fareb hain jalwe
main is KHayal mein tha aql pasban hogi
wahan wahan gham-e-haalat raushni denge
meri ghazal ki rasai jahan jahan hogi
piyo piyo ki subuhi se fasla na rahe
numud-e-subh ki taqrib mein azan hogi
nashemanon ki muKHalif na thi bahaar-e-chaman
magar shararat-e-ima-e-baghban hogi
to kya kasafat-e-uryani-e-ghazal ai 'shad'
adab ki KHak uDane se kuchh ayan hogi
Ghazal
Kabhi talash na zae na raegan hogi
Shaad Aarfi