اردو हिंदी
Kabhi siski kabhi aawaza safar jari hai | Shaahi Shayari
kabhi siski kabhi aawaza safar jari hai

Ghazal

Kabhi siski kabhi aawaza safar jari hai

Waqar Khan

;

kabhi siski kabhi aawaza safar jari hai
kisi diwane ka diwana safar jari hai

thak ke baiThen to kahin hath wo chhoDwa hi na le
bas isi KHauf mein hi andha safar jari hai

ye jo aage ki taraf panw nahin uThte mere
apne andar ki taraf mera safar jari hai

kitni hi manzilen pa kar bhi tasalli na hui
mere bal-bute pe qismat ka safar jari hai

kuchh mahine to hamein jag ke hi chalna paDa
kuchh mahinon se ye KHwabida safar jari hai

jis ko bhi chalta hua dekhen so chal paDte hain
kyun 'waqar' apna ye an-dekha safar jari hai