kabhi shaKH o sabza o barg par kabhi ghuncha o gul o KHar par
main chaman mein chahe jahan rahun mera haq hai fasl-e-bahaar par
mujhe den na ghaiz mein dhamkiyan giren lakh bar ye bijliyan
meri saltanat ye hi aashiyan meri milkiyat ye hi chaar par
jinhen kahiye ishq ki wusaten jo hain KHas husn ki azmaten
ye usi ke qalb se puchhiye jise faKHr ho gham-e-yar par
mere ashk-e-KHun ki bahaar hai ki muraqqa-e-gham-e-yar hai
meri shairi bhi nisar hai meri chashm-e-sehr-nigar par
ajab inqilab-e-zamana hai mera muKHtasar sa fasana hai
yahi ab jo bar hai dosh par yahi sar tha zanu-e-yar par
ye kamal-e-ishq ki sazishen ye jamal-e-husn ki nazishen
ye inayaten ye nawazishen meri ek musht-e-ghubar par
meri samt se use ai saba ye payam-e-aKHir-e-gham suna
abhi dekhna ho to dekh ja ki KHizan hai apni bahaar par
ye fareb-e-jalwa hai sar-ba-sar mujhe Dar ye hai dil-e-be-KHabar
kahin jam na jae teri nazar inhin chand naqsh o nigar par
main rahin-e-dard sahi magar mujhe aur chahiye kya 'jigar'
gham-e-yar hai mera shefta main farefta gham-e-yar par
Ghazal
Kabhi shaKH o sabza o barg par kabhi ghuncha o gul o Khaar par
Jigar Moradabadi