kabhi qarib kabhi dur ho ke rote hain
mohabbaton ke bhi mausam ajib hote hain
zihanaton ko kahan waqt KHun bahane ka
hamare shahr mein kirdar qatl hote hain
faza mein hum hi banate hain aag ke manzar
samundaron mein hamin kashtiyan Dubote hain
palaT chalen ki ghalat aa gae hamin shayad
rais logon se milne ke waqt hote hain
main us dayar mein hun be-sukun barson se
jahan sukun se ajdad mere sote hain
guzar dete hain umren KHulus ki KHatir
purane log bhi 'azhar' ajib hote hain
Ghazal
Kabhi qarib kabhi dur ho ke rote hain
Azhar Inayati