kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya
zindagi chhin li is tarah ki marne na diya
thi bahaar-e-gul-e-jalwa ki hawa ka jhonka
jis ne daman nigah-e-shauq ka bharne na diya
di jis ehsas ne marne ki tamanna hum ko
usi ehsas ki ranai ne marne na diya
jaane kya qissa-e-gham tha ki nazar ne teri
bhulne bhi na diya yaad bhi karne na diya
umr bhar ek tamanna-e-sukun ne hum ko
dil ki betabi ka andaza bhi karne na diya
Ghazal
Kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya
Mushfiq Khwaja

