اردو हिंदी
Kabhi na socha tha maine uDan bharte hue | Shaahi Shayari
kabhi na socha tha maine uDan bharte hue

Ghazal

Kabhi na socha tha maine uDan bharte hue

Faragh Rohvi

;

kabhi na socha tha main ne uDan bharte hue
ki ranj hoga zamin par mujhe utarte hue

ye shauq-e-ghota-zani to naya nahin phir bhi
utar raha hun main gahraiyon mein Darte hue

hawa ke rahm-o-karam par charagh rahne do
ki Dar raha hun nae tajrabaat karte hue

na jaane kaisa samundar hai ishq ka jis mein
kisi ko dekha nahin Dub ke ubharte hue

main us gharane ka chashm o charagh hun jis ki
hayat guzri hai KHwabon mein rang bharte hue

main sab se milta raha hans ke is tarah ki mujhe
kisi ne dekha nahin TuTte bikharte hue

'faragh' aise bhi insan main ne dekhe hain
jo sach ki rah mein pae gae hain marte hue