kabhi madhur kabhi miThi zaban ka shair hun
isi sanad se main hindostan ka shair hun
dikhenge mujh mein tumhein zaKHm ghaw dono hi
KHilaf-e-zulm ke aajiz bayan ka shair hun
main apni fikr ko mahdud rakh nahin sakta
zamin-o-arsh makin-o-makan ka shair hun
guman kahta hai ke main yaqin ka shair hun
yaqin kahta hai ke main guman ka shair hun
jahan hai zarra qamar aur jahan qamar zarra
main us zamin ka main us aasman ka ka shair hun
abhi mujhe na suKHnawar kaho mere ahbab
abhi suKHan mein faqat imtihan ka shair hun
mujhe na dekho yun nafrat bhari nigahon se
main 'hashmi' hun main amn-o-aman ka shair hun
Ghazal
Kabhi madhur kabhi miThi zaban ka shair hun
Azhar Hashmi