kabhi kitabon mein phul rakhna kabhi daraKHton pe nam likhna
hamein bhi hai yaad aaj tak wo nazar se harf-e-salam likhna
wo chand chehre wo bahki baaten sulagte din the mahakti raaten
wo chhoTe chhoTe se kaghazon par mohabbaton ke payam likhna
gulab chehron se dil lagana wo chupke chupke nazar milana
wo aarzuon ke KHwab bunna wo qissa-e-na-tamam likhna
mere nagar ki hasin fazao kahin jo un ka nishan pao
to puchhna ye kahan base wo kahan hai un ka qayam likhna
khuli fazaon mein sans lena abas hai ab to ghuTan hai aisi
ki chaaron jaanib shajar khaDe hain salib-surat tamam likhna
gai ruton mein 'hasan' hamara bas ek hi to ye mashghala tha
kisi ke chehre ko subh kahna kisi ki zulfon ko sham likhna
Ghazal
Kabhi kitabon mein phul rakhna kabhi daraKHton pe nam likhna
Hasan Rizvi