kabhi kisi se na hum ne koi gila rakkha
hazar zaKHm sahe aur dil baDa rakkha
charagh yun to sar-e-taq-e-dil kai the magar
tumhaari lau ko hamesha zara juda rakkha
KHirad se puchha junun ka moamla kya hai
junun ke aage KHirad ka moamla rakkha
KHayal ruh ke aaram se haTaya nahin
jo KHak tha so use KHak mein mila rakkha
hazar shukr tera ai mere KHuda-e-junun
ki mujh ko rah-e-KHirad se gurez-pa rakkha
chhapa hua nahin tujh se dil-e-tabah ka haal
ye kam nahin ki tere ranj ko bacha rakkha
wo ek zulf ki lipTi rahi rag-e-jaan se
wo ek nazar ki hamein jis ne mubtala rakkha
bas ek aan mein guzra main kis taghayyur se
kisi ne sar pe tawajjoh se hath kya rakkha
sunai apni kahani baDe saliqe se
kahin kahin pe fasane mein waqia rakkha
suna jo shor ki wo shisha-gar kamal ka hai
to hum lapak ke gae aur qalb ja rakkha
main jaanta tha ki duniya jo hai wo hai hi nahin
so KHud ko KHwahish-e-duniya se mawara rakkha
mere junun ne kiye radd wajud aur adam
alag hi tarah se hone ka silsila rakkha
KHushi si kis ne hamesha malal mein rakkhi
KHushi mein kis ne hamesha malal sa rakkha
kabhi na hone diya taq-e-dil ko be-raunaq
charagh ek bujha aur dusra rakkha
nigah-dar mera tha mere siwa na koi
so apni zat pe pahra bahut kaDa rakkha
tu pas tha to rahe mahw dekhne mein tujhe
visal ko bhi tere hijr par uTha rakkha
tera jamal to tujh par kabhi khulega nahin
hamare baad bata aaine mein kya rakkha
har ek shab tha yahi tere KHush-guman ka haal
diya bujhaya nahin aur dar khula rakkha
hamin pe fash kiye raaz-ha-e-harf-o-suKHan
to phir hamein hi tamasha sa kyun bana rakkha
mila tha ek yahi dil hamein bhi aap ko bhi
so hum ne ishq rakha aap ne KHuda rakkha
KHizan thi aur KHizan si KHizan KHuda ki panah
tera KHayal tha jis ne hara-bhara rakkha
jo na-gahan kabhi izn-e-safar hua 'irfan'
to fikr kaisi ki saman hai bandha rakkha
Ghazal
Kabhi kisi se na humne koi gila rakkha
Irfan Sattar