اردو हिंदी
Kabhi KHuda kabhi KHud se sawal karte hue | Shaahi Shayari
kabhi KHuda kabhi KHud se sawal karte hue

Ghazal

Kabhi KHuda kabhi KHud se sawal karte hue

Mubeen Mirza

;

kabhi KHuda kabhi KHud se sawal karte hue
main ji raha hun musalsal malal karte hue

magan tha kar-e-mohabbat mein is tarah ki mujhe
KHabar na ho saki apna ye haal karte hue

kise bataun guzara hai main ne bhi ek daur
misal hote hue aur misal karte hue

wo jazb-o-shauq hi aaKHir azab-e-jaan Thahra
haram ho gaya jina halal karte hue

na koi ranj un aankhon mein tha dam-e-ruKHsat
na thi zaban mein luknat sawal karte hue

ye kaam us ke liye jaise masala hi na tha
wo pur-sukun tha kar-e-muhaal karte hue

tamam umr jo lau den mujhe rakhen aabaad
gaya wo aise ghamon se nihaal karte hue