kabhi kabhi jo wo ghurbat-kade mein aae hain
mere bahe hue aansu jabin pe lae hain
na sarguzisht-e-safar puchh muKHtasar ye hai
ki apne naqsh-e-qadam hum ne KHud miTae hain
nazar na toD saki aansuon ki chilman ko
wo roz agarche mere aaine mein aae hain
us ek shama se utre hain baam-o-dar ke libas
us ek lau ne baDe phul-ban jalae hain
ye dopahar ye zamin par lipa hua suraj
kahin daraKHt na diwar-o-dar ke sae hain
kali kali mein hai dharti ke dudh ki KHushbu
tamam phul usi ek man ke jae hain
nazar KHalaon pe aur intizar be-wada
ba-in amal bhi wo aankhon mein jhilmilae hain
fusun-e-sher se hum us mah-e-gurezan ko
KHalaon se sar-e-kaghaz utar lae hain
risala hath se rakhte na kyun wo sharma kar
ghazal paDhi hai to hum samne bhi aae hain
chale hain KHair se un ko pukarne 'danish'
magar wo yun to na aaenge aur na aae hain
Ghazal
Kabhi kabhi jo wo ghurbat-kade mein aae hain
Ehsan Danish