kabhi jo shab ki siyahi se na-gahan guzre
hum ahl-e-zarf har ek soch par garan guzre
nigah-o-dil se miTa den jo tishnagi ka azab
wo aabshaar ke dhaare abhi kahan guzre
gham aafrin tha musalsal sukut-e-shahar-e-habib
hum is gali se magar phir bhi shadman guzre
shikastagi ki tilismi faza nai to nahin
yahan to aise kai daur imtihan guzre
nazar mein shoKH shabihen liye hue hai sahar
abhi na koi idhar se dhuan dhuan guzre
tamam koh kashakash tha mere sar pe 'KHayal'
agarche aur bhi duniya mein saKHt jaan guzre
Ghazal
Kabhi jo shab ki siyahi se na-gahan guzre
Chandrabhan Khayal