اردو हिंदी
Kabhi jhuTe sahaare gham mein ras aaya nahin karte | Shaahi Shayari
kabhi jhuTe sahaare gham mein ras aaya nahin karte

Ghazal

Kabhi jhuTe sahaare gham mein ras aaya nahin karte

Nushur Wahidi

;

kabhi jhuTe sahaare gham mein ras aaya nahin karte
ye baadal uD ke aate hain magar saya nahin karte

yahi kanTe to kuchh KHuddar hain sehn-e-gulistan mein
ki shabnam ke liye daman to phailaya nahin karte

wo le len gosha-e-daman mein apne ya falak chun le
meri aaankhon mein aansu bar bar aaya nahin karte

saliqa jin ko hota hai gham-e-dauran mein jine ka
wo yun shishe ko har patthar se Takraya nahin karte

jo qimat jaante hain gard-e-rah-e-zindagani ki
wo Thukrai hui duniya ko Thukraya nahin karte

qadam mai-KHana mein rakhna bhi kar-e-puKHta-karan hai
jo paimana uThate hain wo tharraya nahin karte

'nushur' ahl-e-zamana baat puchho to larazte hain
wo shaer hain jo haq kahne se katraya nahin karte