kabhi haya unhen aai kabhi ghurur aaya
hamare kaam mein sau sau tarah futur aaya
hazar shukr wo aashiq to jaante hain mujhe
jo kahte hain ki tera dil kahin zarur aaya
jo ba-hawas tha dekha usi ne jalwa-e-yar
jise surur na aaya use surur aaya
KHuda wo din bhi dikhae ki main kahun 'beKHud'
janab-e-'dagh' se milne main ram-pur aaya
Ghazal
Kabhi haya unhen aai kabhi ghurur aaya
Bekhud Badayuni