اردو हिंदी
Kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah | Shaahi Shayari
kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah

Ghazal

Kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah

Rana Sahri

;

kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah
log milte hain badalte hue mausam ki tarah

mere mahbub mere pyar ko ilzam na de
hijr mein id manai hai moharram ki tarah

main ne KHushbu ki tarah tujh ko kiya hai mahsus
dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah

kaise hamdard ho tum kaisi masihai hai
dil pe nashtar bhi lagate ho to marham ki tarah