kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara
kahin tujh ko le na Dube teri zindagi ka dhaara
meri quwwat-e-nazar ka kai ruKH se imtihan hai
kabhi uzr-e-lan-tarani kabhi dawat-e-nazara
gham-e-ishq hi ne kaTi gham-e-ishq ki musibat
isi mauj ne Duboya isi mauj ne ubhaara
tere gham ki parda-poshi jo isi ki muqtazi hai
to qasam hai tere gham ki mujhe har KHushi gawara
dam-e-subh-e-nau-bahaaran jo kali chaman mein chaTki
to guman hua ki jaise mujhe aap ne pukara
mere naKHuda na ghabra ye nazar hai apni apni
tere samne hai tufan mere samne kinara
meri kashti-e-tamanna kabhi KHushkiyon mein Dubi
kabhi bahr-e-gham ka tinka mujhe de gaya sahaara
tera haq bhi sar ba-zanu mera kufr bhi pashiman
mujhe aagahi ne luTa tujhe ghaflaton ne mara
ye karam ye mehrbani teri 'faruq'-e-hazin par
ye gila hai kyun na baKHsha mujhe shukriye ka yara
Ghazal
Kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara
Farooq Banspari