اردو हिंदी
Kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD | Shaahi Shayari
kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD

Ghazal

Kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD

Kishan Kumaar Waqaar

;

kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD
kabhi ai aah-e-dil munh se nikal paD

na ai pa-e-tasawwur itna shal paD
kabhi tu la-makan se aage chal paD

hua wo but na do din bhi kabhi ram
jahannam mein tu ai ilm-o-amal paD

wo raqsan bazm mein hain tu bhi ai dil
kabhi to wajd mein aa kar uchhal paD

kisi din to kabhi ai abr-e-rahmat
mere bait-ul-huzan mein bhi unDal paD

gul-e-ariz pe un ke misl-e-bulbul
kabhi o tifl-e-dil tu bhi machal paD

mere aage kabhi hath apne dho kar
raqibon ke bhi pichhe ai ajal paD

bahe go aalam-e-imkan par ai chashm
kabhi to surat-e-zamzam ubal paD

nibhi ek pal kabhi jis se na ai dil
usi sarkash ke phir qadmon pe chal paD

kabhi o sher-e-wasf-e-said-e-yar
mere KHame ke bhi sanche se Dhal paD

'waqar' us bazm mein tu bhi sadaf-war
dahan-e-pak se moti ugal paD