اردو हिंदी
Kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye | Shaahi Shayari
kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye

Ghazal

Kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye

Zeb Ghauri

;

kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye
kyun na harf-e-sabz hi likh kar zamin par dekhiye

phir kahin sahra-e-jaan mein khaiye taza fareb
phir sarab-e-chashma o aks-e-sanobar dekhiye

leT rahiye band kar ke aankhen jalti dhup mein
aur phir sabz o siyah suraj ka manzar dekhiye

phir barahna shaKHon ke sae mein dam lije kahin
rengte sanpon ko apne tan ke upar dekhiye

dad dije shaukat-e-tamir-e-arsh-o-farsh ki
aur phir buniyaad-e-hast-o-bud Dha kar dekhiye

chandni raaton mein ek aaseb ban kar ghumiye
ghar ki diwaron par apna saya be-sar dekhiye

hai jigar kis ka jo is tegh-e-hunar ki dad de
apne hathon zaKHm kha kar apna jauhar dekhiye

be-dili ki tah mein ghota mar kar baiThe hain hum
'zeb' phir pani pe kab ubhrega patthar dekhiye