kab nigah us ki ishwa-bar nahin
kab nigahen karishma-zar nahin
ghair par rahm ye kise aaya
tum to mana sitam-shiar nahin
yan fughan se lahu Tapakta hai
main nawa-sanj-e-shaKHsar nahin
kulfat-e-dil se hai jo aaluda
gauhar-e-ashk aabdar nahin
hum hain aise faraKH-ru darwesh
mahfil-e-padshah se aar nahin
na jala KHana-e-adu to na hans
shola-e-ah hai sharar nahin
bagh be-sarfa chal ke kya kije
jin se thi bagh ki bahaar nahin
baada behuda pi ke kya kije
ab wo saqi nahin wo yar nahin
ai munajjam abas ye nadani
tu kuchh andaza-dan-e-kar nahin
tu rawish-yab-e-mehr-o-mah ghalat
tu ada-sanj-e-rozgar nahin
waqif asrar-e-asmani se
juz harifan-e-baada-KHwar nahin
chaDh gae hain kisi ke phir dam par
'shefta' aaj be-qarar nahin

Ghazal
Kab nigah uski ishwa-bar nahin
Shefta Mustafa Khan