اردو हिंदी
Kab mere waste koi mushkil nahin rahi | Shaahi Shayari
kab mere waste koi mushkil nahin rahi

Ghazal

Kab mere waste koi mushkil nahin rahi

Sharib Lakhnavi

;

kab mere waste koi mushkil nahin rahi
kab maut zindagi ke muqabil nahin rahi

duniya ki dosti ka to kya zikr kijiye
duniya to dushmani ke bhi qabil nahin rahi

yun meri zindagi hai har ek shai se dur dur
jaise ye kaenat mein shamil nahin rahi

taswir-e-inqilab bana ja raha hun main
ab meri mustaqil koi manzil nahin rahi

izhaar-e-be-wafa-e-duniya na kijiye
duniya kisi ke dard mein shamil nahin rahi

naqshe badal chuke hain nizam-e-hayat ke
kashti-e-zist talib-e-sahil nahin rahi

aaya har ek gam pe ek inqalab-e-nau
insan ki mustaqil koi manzil nahin rahi

KHud mushkilon ko jis ne gale se laga liya
phir us ke waste koi mushkil nahin rahi

'shaarib' ye kya hua ki har ek shai hai ajnabi
wo hum nahin rahe ki wo mahfil nahin rahi