اردو हिंदी
Kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra | Shaahi Shayari
kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra

Ghazal

Kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra

Jurat Qalandar Bakhsh

;

kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra
hai tu tera hi aks numayan hai dusra

puchh us ki mat KHabar jise naseh siye tha to
wo dhajjiyan uDa ye gareban hai dusra

shakl un ki ye hai jo ki hain mahw-e-jamal-e-yar
shashdar khaDa hai ek to hairan hai dusra

ruKH us ka dekhiyo shab-e-mahtab mein koi
goya zamin pe ye mah-e-taban hai dusra

kya dil jigar ki kahiye tamanna-e-wasl mein
hasrat bhara hai ek pur-arman hai dusra

wadi-e-ishq mein hamein barson yun hi kaTe
ek dasht tai kiya ki bayaban hai dusra

tere KHiram-e-naz ke sadqe ki kab koi
aisa chaman mein sarw-KHiraman hai dusra

gham-KHwar-o-munis ab tere bimar ke hain yun
taskin ek de to hirasan hai dusra

'jurat' ghazal paDh aur ek aisi ki sab kahen
kab is tarah ka koi ghazal-KHwan hai dusra