kab khulega ki falak par se aage kya hai
kis ko malum ki diwar se aage kya hai
ek turra sa to main dekh raha hun lekin
koi batlae ki dastar se aage kya hai
zulm ye hai ki yahan bikta hai yusuf be-dam
aur nahin jaanta bazar se aage kya hai
sar mein sauda hai ki ek bar to dekhun ja kar
sar-e-maidan saji dar se aage kya hai
jis ne insan se mohabbat hi nahin ki 'tabish'
us ko kya ilm ki pindar se aage kya hai
Ghazal
Kab khulega ki falak par se aage kya hai
Tabish Kamal