kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai
har kohkan o qais ki ruswai hui hai
is koh ko main ne hi tarasha hai meri jaan
tujh tak ye ju-e-shir meri lai hui hai
is shahr mein kya chand chamakta hua dekhen
is shahr mein har shakl to gahnai hui hai
wo ishq ki zanjir jo kaTe nahin kaTti
pairon mein wo teri hi to pahnai hui hai
ye taKHt-e-saba KHilat-e-gul kursi-e-mahtab
sab tere liye anjuman-arai hui hai
jo tere KHazane ke liye lauh-e-sharaf hai
wo mohr-e-jawahar meri Thukrai hui hai
shohra hai bahut jis ki tilawat ka chaman mein
wo aayat-e-gul meri hi paDhwai hui hai
thi jo na kisi shana-e-yusuf ki talabgar
wo zulf-e-zuleKHa meri saudai hui hai
dekha hai kisi aahu-e-KHush-chashm ko us ne
aankhon mein bahut us ki chamak aai hui hai
Ghazal
Kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai
Anees Ashfaq