اردو हिंदी
Kab is se qabl nazar mein gul-e-malal khila | Shaahi Shayari
kab is se qabl nazar mein gul-e-malal khila

Ghazal

Kab is se qabl nazar mein gul-e-malal khila

Sameena Raja

;

kab is se qabl nazar mein gul-e-malal khila
kisi ki yaad mein lekin ye ab ke sal khila

ajib aab-o-hawa thi ajib thi miTTi
so dil ke goshe mein ek phul be-misal khila

main chhu ke dekh rahi thi ki sabza-e-ruKH par
gulab-e-surKH ki surat tera jamal khila

main dam-ba-KHud hi rahi aur shisha-e-jaan par
misal-e-reza-e-KHurshid ek visal khila

safar ki sham sitara nasib ka jaga
phir aasman-e-mohabbat pe ek hilal khila

isi tarah se teri yaad gul khilati rahi
ki zaKHm bharne laga jab to indimal khila

ye waqia hai ki is bar to bahaar ke baad
khila hai gulshan-e-ummid aur kamal khila