kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain
jab usi ke parwarda chand us pe hanste hain phul muskuraate hain
ab to mere shah-pare jo tum hi se the mansub yun jhalak dikhate hain
dur ek mandir mein kuchh diye muradon ke jaise jhilmilate hain
tum ne kab ye samjha tha main ne kab ye socha tha zindagi ki rahon mein
chalte chalte do rahi ek moD par aa kar KHud hi chhuT jate hain
kaam husn-karon ka aansuon ki zau de kar kuchh kanwal khila dena
maut husn-karon ki jab wo KHud shab-e-gham mein ye diye bujhate hain
tez-tar hawaen hain maut ki fazaen hain raat sard o jamid hai
ahmarin sitare bhi waqai diwane hain ab bhi muskuraate hain
alwida ai meri shahkar nazmon ki zar-nigar shahzadi
mawara-e-ulfat bhi kuchh nae taqaze hain jo mujhe bulate hain
Ghazal
Kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain
Salam Machhli shahri