اردو हिंदी
Kash sunte wo pur-asar baaten | Shaahi Shayari
kash sunte wo pur-asar baaten

Ghazal

Kash sunte wo pur-asar baaten

Aziz Lakhnavi

;

kash sunte wo pur-asar baaten
dil se jo ki thin umr-bhar baaten

be-sabab tere lab nahin KHamosh
kar rahi hai teri nazar baaten

koi samjhae aa ke naseh ko
sun sake kaun is qadar baaten

us ke afsane ban gae lakhon
main ne jo ki thin umr-bhar baaten

dam ulaT jaega 'aziz' 'aziz'
rah na KHamosh kuchh to kar baaten