اردو हिंदी
Kash meri jabin-e-shauq sajdon se sarfaraaz ho | Shaahi Shayari
kash meri jabin-e-shauq sajdon se sarfaraaz ho

Ghazal

Kash meri jabin-e-shauq sajdon se sarfaraaz ho

Bedam Shah Warsi

;

kash meri jabin-e-shauq sajdon se sarfaraaz ho
yar ki KHak-e-astan taj-e-sar-e-niyaz ho

hum ko bhi paemal kar umr teri daraaz ho
mast-e-KHiram-e-naz idhar mashq-e-KHiram-e-naz ho

chashm-e-haqiqat-e-ashna dekhe jo husn ki kitab
daftar-e-sad-hadis-e-raaz har waraq-e-majaz ho

samne ru-e-yar ho sajde mein ho sar-e-niyaz
yunhi harim-e-naz mein aaThon pahar namaz ho

us ke harim-e-naz mein aql-o-KHirad ko daKHl kya
jis ki gali ki KHak ka zarra jahan-e-raaz ho

teri gali mein pa ke ja jae kahan tera gada
kyun na wo be-niyaz ho tujh se jise niyaz ho

'bedam'-e-KHasta hijr mein ban gai jaan-e-zar par
jis ne diya hai dard-e-dil kash wo chaarasaz ho